Maqsad e Hayaat: #5. Mujhe apni i’naayat de

I wish I had good voice. I would have sung this Urdu poem as a Nasheed because I so much love it. All the way I kept humming in my mind the rhythm of this poem if it were.
May be, one day I’ll try.
But, sad.
Anyway. Here’s the last one of this series.

Mujhe apni i’naayat de
Aye Maula tu hidaayat de
Mere aansu ke sadke mein
Mere sajdon ko himmat de

Tu kar mujhpe karam apna
Fazal se apni qurbat de
Jo tu na ho bar_nazar mujhko
Main chaahun na wo jannat de

Hain bahot faasle
Dil bhi mere sile
Na raha ghum koii
Na koii silsilay

Kar nigaahein karam
Na rahe ye bharam
Hain bahot se sitam
Hain ye palkein bhi numm

Ab hain khali se ham
Nekiyaan bhi hain kam
Kar de fazl o karam
De de jannat o aman

Haii bahot bebasii
Bewajah si hansii
Zulm o sitam hi sahi
Bezubaan si khaamoshi

Main karun kya bataa
Teri Hamd o sana
Mere lafz o zubaan
Hain adhure yahaan

Shehvaton mein ho tum
Dhadkanon mein ho tum
Meri chaahat bhi tum
Ho nigaahon mein tum

Zehen ko tu mere
Kar de hikmat a’taa
Keh de itna aye bande
Main tera_tu Mera

wp-1454443935696.jpg
_Saiz

4 thoughts on “Maqsad e Hayaat: #5. Mujhe apni i’naayat de

Add yours

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Create a website or blog at WordPress.com

Up ↑

%d bloggers like this: