Andaaz e Bayaan #2 Chaandni chaand se nahin hoti

 

Chaandni chaand se nahin hoti
Raat taaro_n ki nahin hoti

Uth raha haii ye mu’aamla fir se
Haii dhuaan aagh kyun nahin hoti

Jal raha haii ye dil mera kab se
Haii khabar roshni nahin hoti

Hun main zinda mere naseebo_n se
Kyun muhazzab saba nahin hoti

Hain charaagha_n muhaal dil ko mere
Shama jalti rahi seher nahin hoti

image

===Meanings===
mu’aamla-affair, matter
muhazzab- polite, corteous
saba- eastern soft breeze
charaaghan-lamps
muhaal- difficult
shama- candle

_Saiz

8 thoughts on “Andaaz e Bayaan #2 Chaandni chaand se nahin hoti

Add yours

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Create a website or blog at WordPress.com

Up ↑

%d bloggers like this: