Farewell Poem
If you like to listen, here’s a YouTube version of this very emotional and heart-touching poem / nazm (in Urdu)_
tamaam ahl e dukhon ki rangat
badal sako toh badal ke dekho
baghayr matlab ke chal sako toh
baghayr matlab ke chal ke dekho
kisī ko gham se nidhaal kar ke
unhīñ ki tarah sambhal ke dekho
badal sako toh badal ke dekho
baghayr matlab ke chal ke dekho
safar meñ aksar ye haal hoga
azaan hogi zawaal hoga
magar wo jab bhi hisaab hoga
ibādatoñ ka sawāl hoga
kabhi toh dil ke chaman ko kholo
kabhi aqeedat ke beej bo lo
kabhi toh beete dino ko ro lo
kabhi azeeyat chhipa ke bolo
kabhi inaayat ho hampe itni
ki tum muhabbat se baat chheDo
badal sako toh badal ke dekho
baghayr matlab ke chal ke dekho
kabhi toh honthon se phuul bikhren
kabhi toh lazzat ke saath barso
kabhi toh khushbuu ke jaise mehko
kabhi toh mai ke baghayr behko
jisay tha tum ne banaaya markaz
usii ke dil se nikal ke dekho
badal sako toh badal ke dekho
baghayr matlab ke chal ke dekho
kabhi jo sajda karogay dil se
judai tarsegi hamse tumse
rahenge tanha sajenge teeno
milenge jab bhi tamaasha hoga
kisii ke dil ka qaraar chheeno
toh ishq bhi betahaasha hoga
kisii ko pat’thar se itna maaro
kisii ki chaahat hi waqf kar do
bulaao majnuu ko baaghpan men
kaho ki taveez kar ke dekho
kabhi qaseedon ko parh ke socho
kabhi toh aayat ko parh ke ro lo
badal sako toh badal ke dekho
baghayr matlab ke chal ke dekho
tumhara dar maahtab hoga
girenge sir rang o aab hoga
abhi nahin hain wo khwab jinmen
hamara milna na khwaab hota
sawaal saara jawaab hoga
mujhe woh pal dasteaab hoga
kisii ki baahon men aise simto
kisii ke pehlu men shab guzaaro
badal sako toh badal ke dekho
baghayr matlab ke chal ke dekho
aye dostoñ maiñ nahīñ tha kuchh bhi
tumhāre hone se hai ye hastī
magar tumhāra na kuchh bhi lūñga
palat ke dekhoge hoñge ham hi
naseehateñ bas maiñ itnī dūñga
barho musalsal raho muqqaddam
kabhi kisī ka bhi dil na toote
na haath chhuute na saath chhuute
parho qalaam e ilaahi jab bhi
qaraar paaoge dekh lena
haqeeqaton men sajaaya tumko
khudii se taaruf karaya tumko
zaraa si baaton pe kyun na ruuthen
jo ruuth jaayen toh hamse kehna
satao hamko manao hamko
magar ye harghiz na ho ki keh do
chale bhi jaao… chale bhi jaao…
Poem & Voice- AHMAD JAMAL
❤ it
LikeLiked by 3 people