I had often been asked about posting the verses of my Nazm(Urdu Poem) ‘Muhabbat hi toh thi‘. And I wasn’t up on my blog back then. And luckily I am here and it just hit me. So here it is_
Muhabbat hi toh thi
Qayaamat toh nahii.n thi
Woh ek safar hi toh tha
Manzil toh nahii.n thi
Manzar e Mahshar hi toh tha
Koii mehfil toh nahii.n thi
Kis baat ki shiqayat rakhte
Ham apne Rab ke saamne
Fakat wafa’a hi toh thi
Koii ibaadat toh nahii.n thi
Muhabbat hi toh thi
Qayaamat toh nahii.n thi
Andhera hi toh tha
Raat toh nahii.n thi
Aansuu hi toh tha
Barsaat toh nahii.n thi
Kis baat se hausla rakhta
Kis kis se faasle rakhte
Jaan pehchaan hi toh thi
Koii mulaaqat toh nahii.n thi
Muhabbat hi toh thi
Qayaamat toh nahii.n thi
Ek ghalti hi toh thi
Koii ghunaah toh nahii.n tha
Main jhuka hi toh tha
Sajde mei.n toh nahii.n tha
Luta diya sab kuchh
Ek shakhs ke khatir
Ye saara jahaan hi toh tha
Mera imaan toh nahii.n tha
Muhabbat hi toh thi
Qayaamat toh nahii.n thi
Mehboob hi toh tha
Wo khuda toh na tha
Ye duniya hi toh thi
Koii Jannat toh nahii.n thi
Kab talak ummeed rakhte
Ham uske laut aane ki
Ek insaan hi toh tha
Koii hoor toh nahii.n thi
Muhabbat hi toh thi
Qayaamat toh nahii.n thi
Poet– Ahmad Jamal
Beautiful! I love the construction of each and every stanza…is there a Part II? Please share soon as I’d love to read on. Thank you for sharing this.
LikeLiked by 1 person
I’ll share part II soon.
Thank you so much for your kind words Mam. I’m delighted.
LikeLiked by 1 person